Zara Si Der Ko Chamka Tha Wo Sitara Kahin

zara si der ko chamka tha wo sitara kahin

Thahar gaya hai nazar mein wahi nazara kahin

kahin ko khinch rahi hai kashish zamane ki

bula raha hai teri aankh ka ishaara kahin

ye lahr bahr jo milti hai har taraf dil mein

badal gaya hi na ho zindagi ka dhaara kahin

ye soch kar bhi to us se nibah ho na saka

kisi se ho bhi saka hai mera guzara kahin

rawan-dawan raho har-chand 'aftab-husain'

dikhai deta nahin dur tak kinara kahin

(771) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zara Si Der Ko Chamka Tha Wo Sitara Kahin In English By Famous Poet Aftab Hussain. Zara Si Der Ko Chamka Tha Wo Sitara Kahin is written by Aftab Hussain. Read famous Poem Zara Si Der Ko Chamka Tha Wo Sitara Kahin for youth and Student by Aftab Hussain. Free Download Zara Si Der Ko Chamka Tha Wo Sitara Kahin in PDF.