Apni Kaifiyyaten Har Aan Badalti Hui Sham

apni kaifiyyaten har aan badalti hui sham

munjamid hoti hui aur pighalti hui sham

Dagmagati hui har-gam sambhalti hui sham

KHwab-gahon se udhar KHwab mein chalti hui sham

gundh kar motiye ke haar ghani zulfon mein

aariz-o-lab pe shafaq surKHiyan malti hui sham

ek jhalak poshish-e-be-zabt se uryani ki

de gai din ke nashebon se phisalti hui sham

ek sannaTa rag-o-pai mein sada gunjta hai

bujh gai jaise lahu mein koi jalti hui sham

waqt baptisma kare aab-e-sitara se use

dast-e-duniya ki daraazi se nikalti hui sham

(749) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apni Kaifiyyaten Har Aan Badalti Hui Sham In English By Famous Poet Aftab Iqbal Shamim. Apni Kaifiyyaten Har Aan Badalti Hui Sham is written by Aftab Iqbal Shamim. Read famous Poem Apni Kaifiyyaten Har Aan Badalti Hui Sham for youth and Student by Aftab Iqbal Shamim. Free Download Apni Kaifiyyaten Har Aan Badalti Hui Sham in PDF.