Hanpti Naddi Mein Dam TuTa Hua Tha Lahr Ka

hanpti naddi mein dam TuTa hua tha lahr ka

waqia hai ye september ki kisi sah-pahr ka

sarsarahaT rengte lamhe ki sarkanDon mein thi

tha nasha sari faza mein naginon ke zahr ka

thi sadaf mein raushni ki bund tharrai hui

jism ke andar kahin dhaDka laga tha qahr ka

dil mein thin aise fasad-amada dil ki dhaDkanen

ho bhara balwaiyon se chauk jaise shahr ka

aasman utra kinaron ko milane ke liye

ye bhi phir dekha ki pal TuTa hua tha nahr ka

aish-e-be-miad milti par kahan milti tujhe

meri miTTi ki mahak mein shaiba hai dahr ka

(734) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hanpti Naddi Mein Dam TuTa Hua Tha Lahr Ka In English By Famous Poet Aftab Iqbal Shamim. Hanpti Naddi Mein Dam TuTa Hua Tha Lahr Ka is written by Aftab Iqbal Shamim. Read famous Poem Hanpti Naddi Mein Dam TuTa Hua Tha Lahr Ka for youth and Student by Aftab Iqbal Shamim. Free Download Hanpti Naddi Mein Dam TuTa Hua Tha Lahr Ka in PDF.