Hazimaten Jo Fana Kar Gain Ghurur Mera

hazimaten jo fana kar gain ghurur mera

unhi ke dam se munawwar hua shuur mera

main hairati kisi mansur ki talash mein hun

kare jo aa ke ye aaina chur chur mera

riwaj-e-zehn se main iKHtilaf rakhta tha

sar-e-salib mujhe le gaya futur mera

wo ajnabi hai magar ajnabi nahin lagta

yahi ki us se koi rabt hai zarur mera

main Dub kar bhi kisi daur mein nahin Duba

raha hai matla-e-imkan mein zuhur mera

use ab ahd-e-alam ki inayaten kahiye

ki zulmaton mein ujagar hua hai nur mera

main us lihaz se be-nam nam-awar hun

ki mere baad hua zikr dur dur mera

(760) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hazimaten Jo Fana Kar Gain Ghurur Mera In English By Famous Poet Aftab Iqbal Shamim. Hazimaten Jo Fana Kar Gain Ghurur Mera is written by Aftab Iqbal Shamim. Read famous Poem Hazimaten Jo Fana Kar Gain Ghurur Mera for youth and Student by Aftab Iqbal Shamim. Free Download Hazimaten Jo Fana Kar Gain Ghurur Mera in PDF.