Jab Chaha KHud Ko Shad Ya Nashad Kar Liya

jab chaha KHud ko shad ya nashad kar liya

apne liye fareb sa ijad kar liya

kya sochna ki shauq ka anjam kya hua

jab iKHtiyar pesha-e-farhad kar liya

KHud se chhupa ke KHud ko zamane ke KHauf se

hum ne to apne aap ko barbaad kar liya

tha ishq ka hawala naya hum ne is liye

mazmun-e-dil ko phir se taba-zad kar liya

yun bhi panah-e-saya kaDi dhup mein mili

aankhen jhukain aur tujhe yaad kar liya

aaya naya shuur nai uljhanon ke sath

samjhe the hum ki zehn ko aazad kar liya

bas ki imam-e-asr ka farman tha yahi

munh hum ne su-e-qibla-e-azdad kar liya

(1015) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Chaha KHud Ko Shad Ya Nashad Kar Liya In English By Famous Poet Aftab Iqbal Shamim. Jab Chaha KHud Ko Shad Ya Nashad Kar Liya is written by Aftab Iqbal Shamim. Read famous Poem Jab Chaha KHud Ko Shad Ya Nashad Kar Liya for youth and Student by Aftab Iqbal Shamim. Free Download Jab Chaha KHud Ko Shad Ya Nashad Kar Liya in PDF.