Rizq Ka Jab Nadaron Par Darwaza Band Hua

rizq ka jab nadaron par darwaza band hua

basti ke goshe goshe se shor buland hua

matla-e-be-anwar se phuTa shoKH tabassum kirnon ka

raat ke ghar mein suraj jaisa jab farzand hua

sada be-amezish jazba-e-pir faqir karamat ka

jis ke ism se mayusi ka zahr bhi qand hua

awwal awwal shor uTha sine mein aam tamanna ka

band fasilon ke gumbad mein jo do-chand hua

dukh ko samt-shanasai di gham ke qurbat-daron ne

dil dhaara dariya mil kar bahra-mand hua

chaliye apne aap se chimTe rahna to mauquf kiya

jab se rose ke samjhauton ka wo paband hua

(818) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rizq Ka Jab Nadaron Par Darwaza Band Hua In English By Famous Poet Aftab Iqbal Shamim. Rizq Ka Jab Nadaron Par Darwaza Band Hua is written by Aftab Iqbal Shamim. Read famous Poem Rizq Ka Jab Nadaron Par Darwaza Band Hua for youth and Student by Aftab Iqbal Shamim. Free Download Rizq Ka Jab Nadaron Par Darwaza Band Hua in PDF.