Munkir Ka KHauf

purana pasban zill-e-ilahi ka

jise chahe kare mansab ata aalam-panahi ka

use tarkib aati hai

kisi mazmun-kohna ko naya unwan dene ki

wo dida-war hamesha se muayyan hai

hamare raste ke past-o-baala par

wo dana apne mansube banata hai

hamari fitraton ki KHak zulmat se

hamari KHwahish-e-takrar ki derina aadat se

wo mabad-e-saz but-gar apni hasti ke taqaddus mein

sada mahfuz rakhta hai

hamare ghar ko tahqiqi tajassus ki balaon se

kahin auham ki umda shabihon mein

saqafat ke nigaristan sajata hai

kahin KHush-fahmiyon ke istiare se

hare lafzon ke baghiche khilata hai

kahin nok-e-sinan ke ism o afsun se

lahu ki bund mein taslim ki kirnen jagata hai

qulub ahl-e-zamin ke us ki muTThi mein dhaDakte hain

shuur us ka sada mamur rahta hai

hamein achchhe bure ke falsafe ki aaD mein

hum se chhupane par

magar is ka mudawa kya

ki wo parwardigar-e-zor-e-hikmat apni nindon mein

hamesha se

wajud-e-fard mein ek muztarib si shai se Darta hai

wo shai jis ki haqiqat

waqt ka iblis us par fash karta hai

(1363) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Munkir Ka KHauf In English By Famous Poet Aftab Iqbal Shamim. Munkir Ka KHauf is written by Aftab Iqbal Shamim. Read famous Poem Munkir Ka KHauf for youth and Student by Aftab Iqbal Shamim. Free Download Munkir Ka KHauf in PDF.