Der Tak Raat Andhere Mein Jo Maine Dekha

der tak raat andhere mein jo main ne dekha

mujh se bichhDe hue ek shaKHs ka chehra ubhra

qasmen de de ke mere hathon ne mujh ko roka

main ne diwar se kal nam jab us ka khurcha

dekh kar us ko laga jaise kahin ho dekha

yaad bilkul nahin aaya mujhe ghanTon socha

mom-batti ko galata raha dhire dhire

raat andhere ka mere kamre mein bahta lawa

kitne maghmum ghazalon ka bharam rakhta hai

narm kapDe se tarasha hua kala burqa

qadr ab ho ki na ho zehn-e-rasa ki lekin

aa hi jata hai kabhi kaam ye khoTa sikka

sare din meri tarah jalta hai aur sham Dhale

har-bun-e-mu se lipaT jata hai mera saya

apne honTon pe saja leta hun main jhuTi hansi

apni palkon mein chhupa leta hun jalta dariya

man lo meri jo hai us pe qanaat kar lo

ab nahin utrega is duniya mein mann-o-salwa

(1016) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Der Tak Raat Andhere Mein Jo Maine Dekha In English By Famous Poet Aftab Shamsi. Der Tak Raat Andhere Mein Jo Maine Dekha is written by Aftab Shamsi. Read famous Poem Der Tak Raat Andhere Mein Jo Maine Dekha for youth and Student by Aftab Shamsi. Free Download Der Tak Raat Andhere Mein Jo Maine Dekha in PDF.