Ab To Har Ek Adakar Se Dar Lagta Hai

ab to har ek adakar se Dar lagta hai

mujh ko dushman se nahin yar se Dar lagta hai

kaise dushman ke muqabil wo Thahar paega

jis ko TuTi hui talwar se Dar lagta hai

wo jo pazeb ki jhankar ka shaidai ho

us ko talwar ki jhankar se Dar lagta hai

mujh ko baalon ki safedi ne KHabar-dar kiya

zindagi ab teri raftar se Dar lagta hai

kar den maslub unhen lakh zamane wale

haq-paraston ko kahan dar se Dar lagta hai

wo kisi tarah bhi tairak nahin ho sakta

dur se hi jise manjdhaar se Dar lagta hai

mere aangan mein hai wahshat ka basera 'afzal'

mujh ko ghar ke dar-o-diwar se Dar lagta hai

(3168) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab To Har Ek Adakar Se Dar Lagta Hai In English By Famous Poet Afzal Allahabadi. Ab To Har Ek Adakar Se Dar Lagta Hai is written by Afzal Allahabadi. Read famous Poem Ab To Har Ek Adakar Se Dar Lagta Hai for youth and Student by Afzal Allahabadi. Free Download Ab To Har Ek Adakar Se Dar Lagta Hai in PDF.