Kisi Ki Yaad Rulae To Kya Kiya Jae

kisi ki yaad rulae to kya kiya jae

shab-e-firaq satae to kya kiya jae

jo rafta rafta gham-e-intizar ki dimak

mere wajud ko khae to kya kiya jae

shab-e-firaq ho ya ho visal ka mausam

ye dil sukun na pae to kya kiya jae

dikha ke chand sa chehra wo husn ka paikar

asir apna banae to kya kiya jae

sharab-noshi se main dur bhagta hun magar

koi nazar se bhulae to kya kiya jae

mere ilaj ko kitne tabib aae magar

dawa bhi dard baDhae to kya kiya jae

sukun milta hai jis ki nigah se 'afzal'

wahi nigah churae to kya kiya jae

(1406) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Ki Yaad Rulae To Kya Kiya Jae In English By Famous Poet Afzal Allahabadi. Kisi Ki Yaad Rulae To Kya Kiya Jae is written by Afzal Allahabadi. Read famous Poem Kisi Ki Yaad Rulae To Kya Kiya Jae for youth and Student by Afzal Allahabadi. Free Download Kisi Ki Yaad Rulae To Kya Kiya Jae in PDF.