Kal Apne Shahr Ki Bas Mein Sawar Hote Hue

kal apne shahr ki bas mein sawar hote hue

wo dekhta tha mujhe ashk-bar hote hue

parinde aae to gumbad pe baiTh jaenge

nahin shajar ki zarurat mazar hote hue

hai ek aur bhi surat raza-o-kufr ke bich

ki shak bhi dil mein rahe e'tibar hote hue

mere wajud se dhaga nikal gaya hai dost

main be-shumar hua hun shumar hote hue

Dubo raha hai mujhe Dubne ka KHauf ab tak

bhanwar ke bich hun dariya ke par hote hue

wo qaid-KHana ghanimat tha mujh se be-ghar ko

ye zehn hi mein na aaya farar hote hue

(908) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kal Apne Shahr Ki Bas Mein Sawar Hote Hue In English By Famous Poet Afzal Khan. Kal Apne Shahr Ki Bas Mein Sawar Hote Hue is written by Afzal Khan. Read famous Poem Kal Apne Shahr Ki Bas Mein Sawar Hote Hue for youth and Student by Afzal Khan. Free Download Kal Apne Shahr Ki Bas Mein Sawar Hote Hue in PDF.