Rah Bhola Hun Magar Ye Meri KHami To Nahin

rah bhola hun magar ye meri KHami to nahin

main kahin aur se aaya hun maqami to nahin

uncha lahja hai faqat zor-e-dalael ke liye

ai meri jaan ye meri talKH-kalami to nahin

un daraKHton ko dua do ki jo raste mein na the

jaldi aane ka sabab tez-KHirami to nahin

teri masnad pe koi aur nahin aa sakta

ye mera dil hai koi KHali asami to nahin

main hama-waqt mohabbat mein paDa rahta tha

phir kisi dost se puchha ye ghulami to nahin

bartari itni bhi apni na jata ai mere ishq

tu 'nadim'-o-'zaki' o 'kashif'-o-'kaami' to nahin

(1048) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rah Bhola Hun Magar Ye Meri KHami To Nahin In English By Famous Poet Afzal Khan. Rah Bhola Hun Magar Ye Meri KHami To Nahin is written by Afzal Khan. Read famous Poem Rah Bhola Hun Magar Ye Meri KHami To Nahin for youth and Student by Afzal Khan. Free Download Rah Bhola Hun Magar Ye Meri KHami To Nahin in PDF.