Log Hansne Ke Liye Rote Hain Akasr Dahr Mein

log hansne ke liye rote hain akasr dahr mein

talKHiyan KHud hi mila lete hain miThe zahr mein

pyar ke chashmon ka pani jab se khaara ho gaya

sari duniya ghir gai hai nafraton ke qahr mein

waqt kahta hai ubharte Dubte chehron ko dekh

aaj to raunaq baDi hai hadson ki nahr mein

jaane ye hiddat chaman ko ras aae ya nahin

aag jaisi kaifiyat hai KHushbuon ki lahr mein

hum ne palkon par saja rakhe hain ashkon ke charagh

ek mela sa laga hai raushni ke shahr mein

chand aawazen taaqub mein hain 'afzal' aaj bhi

qurbaton ka shahd hai tanhaiyon ke zahr mein

(727) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Log Hansne Ke Liye Rote Hain Akasr Dahr Mein In English By Famous Poet Afzal Minhas. Log Hansne Ke Liye Rote Hain Akasr Dahr Mein is written by Afzal Minhas. Read famous Poem Log Hansne Ke Liye Rote Hain Akasr Dahr Mein for youth and Student by Afzal Minhas. Free Download Log Hansne Ke Liye Rote Hain Akasr Dahr Mein in PDF.