MiTte Hue Nuqush-e-wafa Ko Ubhaariye

miTte hue nuqush-e-wafa ko ubhaariye

chehron pe jo saja hai mulamma utariye

milna agar nahin hai to zaKHmon se faeda

chhup kar mujhe KHayal ke patthar na mariye

koi to sarzanish ke liye aae is taraf

baiThe hue hain dil ke makan mein juwariye

hathon pe nachti hai abhi maut ki lakir

jaise bhi ho ye zist ki bazi na haariye

shikwa na kijiye abhi apne nasib ka

sanson ki tez aanch pe har shab guzariye

mismar ho gai hain falak-bos chahaten

shahar-e-jafa se ab na mujhe yun pukariye

phulon se tazgi ki hararat ko chhin kar

mausam ke zahr ke liye gulshan sanwariye

ruswaiyon ka hoga na ab samna kabhi

jaldi se aarzu ko lahad mein utariye

'afzal' ye tirgi ke musafir kahan chale

ji chahta hai in pe kai chand mariye

(982) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

MiTte Hue Nuqush-e-wafa Ko Ubhaariye In English By Famous Poet Afzal Minhas. MiTte Hue Nuqush-e-wafa Ko Ubhaariye is written by Afzal Minhas. Read famous Poem MiTte Hue Nuqush-e-wafa Ko Ubhaariye for youth and Student by Afzal Minhas. Free Download MiTte Hue Nuqush-e-wafa Ko Ubhaariye in PDF.