Us PeD Ko Chhua To Samar-dar Ho Gaya

us peD ko chhua to samar-dar ho gaya

phir jaane kya hua wo sharar-bar ho gaya

mausam ki bhul thi ki meri dastaras ki baat

patthar se ek phul numudar ho gaya

bikhre hue hain dil mein meri KHwahishon ke rang

ab main bhi ek saja hua bazar ho gaya

ek bar main bhi KHwab mein baiTha tha taKHt par

aankhen khulin to aur bhi nadar ho gaya

pahle to sar ko phoD liya us ko dekh kar

phir main bhi ek rauzan-e-diwar ho gaya

waise tamam umr meri nind mein kaTi

ghar mein naqab lagi to main bedar ho gaya

yaro ye zindagi ka makan bhi ajib hai

tamir ho gaya kabhi mismar ho gaya

lafzon ke phul aanch si dene lage mujhe

bebak aaj shoala-e-guftar ho gaya

dushman nazar paDa to miTin ranjishen tamam

laDne ko sara shahr hi tayyar ho gaya

mujrim bari hua to kai qatl ho gae

basti ka ek gharib giraftar ho gaya

'afzal' kuchh is tarah ki achanak hawa chali

sansen bahaal rakhna bhi dushwar ho gaya

(752) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Us PeD Ko Chhua To Samar-dar Ho Gaya In English By Famous Poet Afzal Minhas. Us PeD Ko Chhua To Samar-dar Ho Gaya is written by Afzal Minhas. Read famous Poem Us PeD Ko Chhua To Samar-dar Ho Gaya for youth and Student by Afzal Minhas. Free Download Us PeD Ko Chhua To Samar-dar Ho Gaya in PDF.