Laila Sar-ba-gareban Hai Majnun Sa Aashiq-e-zar Kahan

laila sar-ba-gareban hai majnun sa aashiq-e-zar kahan

hir duhai deti hai ranjhe sa yar-e-ghaar kahan

apna KHun-e-jigar pite hain tujh ko duaen dete hain

tere maiKHane mein saqi hum sa baada-KHwar kahan

hijr ka zulm hamari qismat wasl ki daulat ghair ka mal

zaKHm kise aur marham kis ko dard kahan hai qarar kahan

hijr ka zulm hamari qismat wasl ki daulat ghair ka mal

zaKHm kise aur marham kis ko dard kahan hai qarar kahan

pir-e-mughan kya kam tha mohtasibon ka bhi ab daKHl hua

mina par kya guzregi sar phoDenge mai-KHwar kahan

sunte hain ki chaman mahke bulbul chahke ban lahke hain

apne nasheman tak jo na pahunchi aisi bahaar bahaar kahan

kunj-e-mehan hai dar-o-rasan hai zulmat hai tanhai hai

kaun si ja hai ham-safaro le aai talash-e-yar kahan

gul-chinon ko aaj chaman-bandi ka dawa hai 'parwez'

ab dekhen luT kar bikta hai kali kali ka singhaar kahan

(742) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Laila Sar-ba-gareban Hai Majnun Sa Aashiq-e-zar Kahan In English By Famous Poet Afzal Parvez. Laila Sar-ba-gareban Hai Majnun Sa Aashiq-e-zar Kahan is written by Afzal Parvez. Read famous Poem Laila Sar-ba-gareban Hai Majnun Sa Aashiq-e-zar Kahan for youth and Student by Afzal Parvez. Free Download Laila Sar-ba-gareban Hai Majnun Sa Aashiq-e-zar Kahan in PDF.