Waqt Ke Tufani Sagar Mein Krodh KapaT Ke Rele Hain

waqt ke tufani sagar mein krodh kapaT ke rele hain

lekin aas ke manjhi har lahza maujon se khele hain

pag pag kanTe manzilon sahra koson jangal bele hain

safar-e-zist kaThin hai yaro rah mein lakh jhamele hain

alakh jamae dhuni ramae dhyan lagae rahte hain

pyar hamara maslak hai hum prem-guru ke chele hain

rahzanon se ghabra kar sab sathi sangat chhoD gae

aur pur-KHauf Dagar par garm-e-safar hum aaj akele hain

husn ki daulat us ki hai aur wasl ki ishrat bhi us ki

jis ne pal pal hijr mein kaTa jaur sahe dukh jhele hain

bazi-gah-e-dar-o-rasan mein mai-kada-e-fikr-o-fan mein

hum rindon se raunaq hai hum durweshon se mele hain

jiwan ki komal abla ka swayamwar rachne wala hai

aao sala-e-am hai sab ko jitne bhi albele hain

(836) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Waqt Ke Tufani Sagar Mein Krodh KapaT Ke Rele Hain In English By Famous Poet Afzal Parvez. Waqt Ke Tufani Sagar Mein Krodh KapaT Ke Rele Hain is written by Afzal Parvez. Read famous Poem Waqt Ke Tufani Sagar Mein Krodh KapaT Ke Rele Hain for youth and Student by Afzal Parvez. Free Download Waqt Ke Tufani Sagar Mein Krodh KapaT Ke Rele Hain in PDF.