Buton Ke Waste To Din-o-iman Bech Dale Hain

buton ke waste to din-o-iman bech Dale hain

ye wo mashuq hain jo hum ne kabe se nikale hain

wo diwana hun jis ne koh o sahra chhan Dale hain

unhin talwon se to TuTe hue kanTe nikale hain

tarashi hain wo baaten us sitamgar ne sar-e-mahfil

kaleje se hazaron tir chun chun kar nikale hain

jigar dil ke waraq hain wada-e-didar se raushan

unhen kyun dun kisi ko ye to jannat ke qabaale hain

agar munh se kaha kuchh to bikhar hi jaenge TukDe

baDi mushkil se hum TuTe hue dil ko sambhaale hain

hamin hain mojid-e-bab-e-fasahat hazrat-e-'shair'

zamana sikhta hai hum se hum wo dilli wale hain

(697) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Buton Ke Waste To Din-o-iman Bech Dale Hain In English By Famous Poet Agha Shayar Qazalbash. Buton Ke Waste To Din-o-iman Bech Dale Hain is written by Agha Shayar Qazalbash. Read famous Poem Buton Ke Waste To Din-o-iman Bech Dale Hain for youth and Student by Agha Shayar Qazalbash. Free Download Buton Ke Waste To Din-o-iman Bech Dale Hain in PDF.