Mujhko Aata Hai Tayammum Na Wazu Aata Hai

mujh ko aata hai tayammum na wazu aata hai

sajda kar leta hun jab samne tu aata hai

yun to shikwa bhi hamein aaina-ru aata hai

honT sil jate hain jab samne tu aata hai

hath dhoe hue hun nesti-o-hasti se

shaiKH kya puchhta hai mujh se wazu aata hai

minnaten karti hai shoKHi ki mana lun tujh ko

jab mere samne ruTha hua tu aata hai

puchhte kya ho tamannaon ki haalat kya hai

sans ke sath ab ashkon mein lahu aata hai

yar ka ghar koi kaba to nahin hai 'shair'

hae kam-baKHt yahin marne ko tu aata hai

(711) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhko Aata Hai Tayammum Na Wazu Aata Hai In English By Famous Poet Agha Shayar Qazalbash. Mujhko Aata Hai Tayammum Na Wazu Aata Hai is written by Agha Shayar Qazalbash. Read famous Poem Mujhko Aata Hai Tayammum Na Wazu Aata Hai for youth and Student by Agha Shayar Qazalbash. Free Download Mujhko Aata Hai Tayammum Na Wazu Aata Hai in PDF.