Rone Se Jo BhaDas Thi Dil Ki Nikal Gai

rone se jo bhaDas thi dil ki nikal gai

aansu bahae chaar tabiat sambhal gai

main ne taras taras ke guzari hai sari umr

meri na hogi jaan jo hasrat nikal gai

bechain hun main jab se nahin dil-lagi kahin

wo dard kya gaya ki mere dil ki kal gai

kahta hai chaaragar ki na paega indimal

achchha hua ki zaKHm ki surat badal gai

ai shama hum se soz-e-mohabbat ke zabt sikh

kam-baKHt ek raat mein sari pighal gai

shaKH-e-nihaal-e-umr hamari na phal saki

ye to hai wo kali jo nikalte hi jal gai

dekha jo us ne pyar se aghyar ki taraf

'shair' qasam KHuda ki meri jaan jal gai

(820) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rone Se Jo BhaDas Thi Dil Ki Nikal Gai In English By Famous Poet Agha Shayar Qazalbash. Rone Se Jo BhaDas Thi Dil Ki Nikal Gai is written by Agha Shayar Qazalbash. Read famous Poem Rone Se Jo BhaDas Thi Dil Ki Nikal Gai for youth and Student by Agha Shayar Qazalbash. Free Download Rone Se Jo BhaDas Thi Dil Ki Nikal Gai in PDF.