Aisa Ilaj-e-habs-e-dil-e-zar Chahiye

aisa ilaj-e-habs-e-dil-e-zar chahiye

ek dar fasil-e-jaan mein hawa-dar chahiye

ek jhil naghma-rez ho ahl-e-safar ke sath

sarsabz dur tak saf-e-ashjar chahiye

sahra kaf-e-tamawwuj-e-dariya mein ho asir

shoala hawa se bar-sar-e-paikar chahiye

ye ruh ek tair-e-wahshi nazhad hai

har dam safar ke waste tayyar chahiye

apne farogh-e-husn ki tashhir ke liye

shahzadi-e-KHayal ko darbar chahiye

is shahr-e-KHisht-o-sang ko shishe ki chah hai

koi jawan aaina-bardar chahiye

bazar-e-arzu mein kaTi ja rahi hai umr

hum ko KHarid le wo KHaridar chahiye

(763) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aisa Ilaj-e-habs-e-dil-e-zar Chahiye In English By Famous Poet Ahmad Azeem. Aisa Ilaj-e-habs-e-dil-e-zar Chahiye is written by Ahmad Azeem. Read famous Poem Aisa Ilaj-e-habs-e-dil-e-zar Chahiye for youth and Student by Ahmad Azeem. Free Download Aisa Ilaj-e-habs-e-dil-e-zar Chahiye in PDF.