Fitna UTha To Razm-gah-e-KHak Se UTha

fitna uTha to razm-gah-e-KHak se uTha

suraj kisi ke pairhan-e-chaak se uTha

ye dil uTha raha hai baDe hausle ke sath

wo bar jo zamin se na aflak se uTha

sab mojazon ke bab mein ye mojaza bhi ho

jo log mar gae hain unhen KHak se uTha

suraj ki zau charagh-e-shikasta ki lau se ho

qulzum ki mauj dida-e-namnak se uTha

puchha jo us ne ahd-e-jarahat ka majra

dariya lahu ka har rag-e-poshak se uTha

(752) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Fitna UTha To Razm-gah-e-KHak Se UTha In English By Famous Poet Ahmad Azeem. Fitna UTha To Razm-gah-e-KHak Se UTha is written by Ahmad Azeem. Read famous Poem Fitna UTha To Razm-gah-e-KHak Se UTha for youth and Student by Ahmad Azeem. Free Download Fitna UTha To Razm-gah-e-KHak Se UTha in PDF.