Bazar Ki Fasil Bhi RuKHsar Par Male

bazar ki fasil bhi ruKHsar par male

dud-e-charagh jo kisi shorab se jale

mathe ki bindi hath ki rakhi dua ke bol

bimar ke qarib masihai mein Dhale

kaghaz ki naw TuTa diya tash ka mahal

apne hain ham-jalis yahi chand manchale

itna to ehtimam rahe aarti ke sath

gehun ki fasl ke liye shorab bhi Dhale

'ahmad' ab aaftab ke andar bhi aaiye

tai ho chuke tamam ujalon ke marhale

(629) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bazar Ki Fasil Bhi RuKHsar Par Male In English By Famous Poet Ahmad Azimabadi. Bazar Ki Fasil Bhi RuKHsar Par Male is written by Ahmad Azimabadi. Read famous Poem Bazar Ki Fasil Bhi RuKHsar Par Male for youth and Student by Ahmad Azimabadi. Free Download Bazar Ki Fasil Bhi RuKHsar Par Male in PDF.