ShaKH-e-arman Ki Wahi Be-sabri Aaj Bhi Hai

shaKH-e-arman ki wahi be-sabri aaj bhi hai

mojib-e-girya-e-sham-o-sahri aaj bhi hai

wahi aaina-ba-kaf dida-wari aaj bhi hai

un mein pahle ki tarah KHud-nigari aaj bhi hai

sang-baron ke liye dard-sari aaj bhi hai

kal garan thi jo meri shisha-gari aaj bhi hai

aaj bhi morid-e-ilzam hai masum nigah

jurm ilzam se kal bhi tha bari aaj bhi hai

baat dushwari-e-manzil ki nai baat nahin

rah pahle bhi thi kanTon se bhari aaj bhi hai

(641) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

ShaKH-e-arman Ki Wahi Be-sabri Aaj Bhi Hai In English By Famous Poet Ahmad Azimabadi. ShaKH-e-arman Ki Wahi Be-sabri Aaj Bhi Hai is written by Ahmad Azimabadi. Read famous Poem ShaKH-e-arman Ki Wahi Be-sabri Aaj Bhi Hai for youth and Student by Ahmad Azimabadi. Free Download ShaKH-e-arman Ki Wahi Be-sabri Aaj Bhi Hai in PDF.