Ab Ke Hum BichhDe To Shayad Kabhi KHwabon Mein Milen

ab ke hum bichhDe to shayad kabhi KHwabon mein milen

jis tarah sukhe hue phul kitabon mein milen

DhunDh ujDe hue logon mein wafa ke moti

ye KHazane tujhe mumkin hai KHarabon mein milen

gham-e-duniya bhi gham-e-yar mein shamil kar lo

nashsha baDhta hai sharaben jo sharabon mein milen

tu KHuda hai na mera ishq farishton jaisa

donon insan hain to kyun itne hijabon mein milen

aaj hum dar pe khinche gae jin baaton par

kya ajab kal wo zamane ko nisabon mein milen

ab na wo main na wo tu hai na wo mazi hai 'faraaz'

jaise do sae tamanna ke sarabon mein milen

(3341) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Ke Hum BichhDe To Shayad Kabhi KHwabon Mein Milen In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Ab Ke Hum BichhDe To Shayad Kabhi KHwabon Mein Milen is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Ab Ke Hum BichhDe To Shayad Kabhi KHwabon Mein Milen for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Ab Ke Hum BichhDe To Shayad Kabhi KHwabon Mein Milen in PDF.