KHamosh Ho Kyun Dad-e-jafa Kyun Nahin Dete

KHamosh ho kyun dad-e-jafa kyun nahin dete

bismil ho to qatil ko dua kyun nahin dete

wahshat ka sabab rauzan-e-zindan to nahin hai

mehr o mah o anjum ko bujha kyun nahin dete

ek ye bhi to andaz-e-ilaj-e-gham-e-jaan hai

ai chaaragaro dard baDha kyun nahin dete

munsif ho agar tum to kab insaf karoge

mujrim hain agar hum to saza kyun nahin dete

rahzan ho to hazir hai mata-e-dil-o-jaan bhi

rahbar ho to manzil ka pata kyun nahin dete

kya bit gai ab ke 'faraaz' ahl-e-chaman par

yaran-e-qafas mujh ko sada kyun nahin dete

(2419) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHamosh Ho Kyun Dad-e-jafa Kyun Nahin Dete In English By Famous Poet Ahmad Faraz. KHamosh Ho Kyun Dad-e-jafa Kyun Nahin Dete is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem KHamosh Ho Kyun Dad-e-jafa Kyun Nahin Dete for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download KHamosh Ho Kyun Dad-e-jafa Kyun Nahin Dete in PDF.