Na Harif-e-jaan Na Sharik-e-gham Shab-e-intizar Koi To Ho

na harif-e-jaan na sharik-e-gham shab-e-intizar koi to ho

kise bazm-e-shauq mein laen hum dil-e-be-qarar koi to ho

kise zindagi hai aziz ab kise aarzu-e-shab-e-tarab

magar ai nigar-e-wafa talab tera e'tibar koi to ho

kahin tar-e-daman-e-gul mile to ye man len ki chaman khile

ki nishan fasl-e-bahaar ka sar-e-shaKH-sar koi to ho

ye udas udas se baam o dar ye ujaD ujaD si rah-guzar

chalo hum nahin na sahi magar sar-e-ku-e-yar koi to ho

ye sukun-e-jaan ki ghaDi Dhale to charagh-e-dil hi na bujh chale

wo bala se ho gham-e-ishq ya gham-e-rozgar koi to ho

sar-e-maqtal-e-shab-e-arzu rahe kuchh to ishq ki aabru

jo nahin adu to 'faraaz' tu ki nasib-e-dar koi to ho

(13007) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Harif-e-jaan Na Sharik-e-gham Shab-e-intizar Koi To Ho In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Na Harif-e-jaan Na Sharik-e-gham Shab-e-intizar Koi To Ho is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Na Harif-e-jaan Na Sharik-e-gham Shab-e-intizar Koi To Ho for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Na Harif-e-jaan Na Sharik-e-gham Shab-e-intizar Koi To Ho in PDF.