Shoala Tha Jal-bujha Hun Hawaen Mujhe Na Do

shoala tha jal-bujha hun hawaen mujhe na do

main kab ka ja chuka hun sadaen mujhe na do

jo zahr pi chuka hun tumhin ne mujhe diya

ab tum to zindagi ki duaen mujhe na do

ye bhi baDa karam hai salamat hai jism abhi

ai KHusrawan-e-shahr qabaen mujhe na do

aisa na ho kabhi ki palaT kar na aa sakun

har bar dur ja ke sadaen mujhe na do

kab mujh ko e'tiraf-e-mohabbat na tha 'faraaz'

kab main ne ye kaha hai sazaen mujhe na do

(2281) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shoala Tha Jal-bujha Hun Hawaen Mujhe Na Do In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Shoala Tha Jal-bujha Hun Hawaen Mujhe Na Do is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Shoala Tha Jal-bujha Hun Hawaen Mujhe Na Do for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Shoala Tha Jal-bujha Hun Hawaen Mujhe Na Do in PDF.