Tha Abas Tark-e-talluq Ka Irada Yun Bhi

tha abas tark-e-talluq ka irada yun bhi

ishq zinda nahin rahta hai ziyaada yun bhi

ek to in aankhon mein nashsha tha bala ka us par

hum ko marghub hai kaifiyyat-e-baada yun bhi

nama-bar us se na ahwal hamara kahna

wo tunuk-KHu hai bigaD jae mabaada yun bhi

so gae hum bhi ki be-kar tha rasta takna

us ko aana hi nahin tha shab-e-wada yun bhi

kuchh to wo husn pasheman hai jafa par apni

aur kuchh us ke liye dil tha kushada yun bhi

kuch kar jate hain hum ku-e-mohabbat se 'faraaz'

in dinon chaak-e-gareban hain ziyaada yun bhi

(1989) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tha Abas Tark-e-talluq Ka Irada Yun Bhi In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Tha Abas Tark-e-talluq Ka Irada Yun Bhi is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Tha Abas Tark-e-talluq Ka Irada Yun Bhi for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Tha Abas Tark-e-talluq Ka Irada Yun Bhi in PDF.