Ye Main Bhi Kya Hun Use Bhul Kar Usi Ka Raha

ye main bhi kya hun use bhul kar usi ka raha

ki jis ke sath na tha ham-safar usi ka raha

wo but ki dushman-e-din tha ba-qaul naseh ke

sawal-e-sajda jab aaya to dar usi ka raha

hazar chaaragaron ne hazar baaten kin

kaha jo dil ne suKHan mo'tabar usi ka raha

bahut si KHwahishen sau barishon mein bhigi hain

main kis tarah se kahun umr bhar usi ka raha

ki apne harf ki tauqir jaanta tha 'faraaz'

isi liye kaf-e-qatil pe sar usi ka raha

(3999) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Main Bhi Kya Hun Use Bhul Kar Usi Ka Raha In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Ye Main Bhi Kya Hun Use Bhul Kar Usi Ka Raha is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Ye Main Bhi Kya Hun Use Bhul Kar Usi Ka Raha for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Ye Main Bhi Kya Hun Use Bhul Kar Usi Ka Raha in PDF.