Yun To Pahle Bhi Hue Us Se Kai Bar Juda

yun to pahle bhi hue us se kai bar juda

lekin ab ke nazar aate hain kuchh aasar juda

gar gham-e-sud-o-ziyan hai to Thahar ja ai jaan

ki isi moD pe yaron se hue yar juda

do ghaDi us se raho dur to yun lagta hai

jis tarah saya-e-diwar se diwar juda

ye judai ki ghaDi hai ki jhaDi sawan ki

main juda girya-kunan abr juda yar juda

kaj-kulahon se kahe kaun ki ai be-KHabron

tauq-e-gardan se nahin turra-e-dastar juda

ku-e-jaanan mein bhi KHasa tha tarah-dar 'faraaz'

lekin us shaKHs ki saj-dhaj thi sar-e-dar juda

(3851) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yun To Pahle Bhi Hue Us Se Kai Bar Juda In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Yun To Pahle Bhi Hue Us Se Kai Bar Juda is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Yun To Pahle Bhi Hue Us Se Kai Bar Juda for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Yun To Pahle Bhi Hue Us Se Kai Bar Juda in PDF.