Abhi Hum KHub-surat Hain

abhi hum KHub-surat hain

hamare jism auraq-e-KHizani ho gae hain

aur rida-e-zaKHm se aarasta hain

phir bhi dekho to

hamari KHush-numai par koi harf

aur kashida-qamti mein KHam nahin aaya

hamare honT zahrili ruton se kasni hain

aur chehre ratjagon ki shoalagi se

aabnusi ho chuke hain

aur zaKHmi KHwab

nadida jaziron ki zamin par

is tarah bikhre paDe hain

jis tarah tufan-zada kashti ke TukDon ko

samundar sahilon par phenk deta hai

lahu ki barishen

ya KHud-kushi ki KHwahishen thin

is aziyyat ke safar mein

kaun sa mausam nahin aaya

magar aankhon mein nam

lahje mein sam

honTon pe koi naghma-e-matam nahin aaya

abhi tak dil hamare

KHanda-e-tiflan ki surat be-kudurat hain

abhi hum KHub-surat hain

zamane ho gae

hum ku-e-jaanan chhoD aae the

magar ab bhi

bahut se aashna na-ashna hamdam

aur un ki yaad ke manus qasid

aur un ki chahaton ke hijr-name

dur deson se hamari or aate hain

gulabi mausamon ki dhup

jab naurasta sabze par qadam rakhti hui

mamura-e-tan mein dar aati hai

tu barfani badan mein

ju-e-KHun aahistagi se gungunati hai

udasi ka parinda

chup ke jangal mein

sar-e-shaKH-e-nihaal-e-gham chahakta hai

koi bhula hua bisra hua dukh

aabla bin kar Tapakta hai

to yun lagta hai

jaise harf apne

zinda aawazon ki surat hain

abhi hum KHub-surat hain

hamari KHush-numai harf-e-haq ki ru-numai hai

usi KHatir to hum aashufta-jaan

ushshaq ki yaadon mein rahte hain

ki jo un par guzarti hai wo kahte hain

hamari harf-sazi

ab bhi mahbub-e-jahan hai

shaeri shorid-gan-e-ishq ke wird-e-zaban hai

aur gulabon ki tarah shadan chehre

lal o marjaan ki tarah lab

sandalin hathon se

chahat aur aqidat ki bayazon par

hamare nam likhte hain

sabhi dard-ashna

isar mashrab

ham-nafas ahl-e-qafas

jab maqtalon ki samt jate hain

hamare bait gate hain

abhi tak naz karte hain sab ahl-e-qafila

apne hudi-KHwanon par aashufta-kalamon par

abhi hum dastaKHat karte hain apne qatl-namon par

abhi hum aasmanon ki amanat

aur zaminon ki zarurat hain

abhi hum KHub-surat hain

(3676) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Abhi Hum KHub-surat Hain In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Abhi Hum KHub-surat Hain is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Abhi Hum KHub-surat Hain for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Abhi Hum KHub-surat Hain in PDF.