To Behtar Hai Yahi

ye teri aankhon ki be-zari ye lahje ki thakan

kitne andeshon ki hamil hain ye dil ki dhaDkanen

pesh-tar is ke ki hum phir se muKHalif samt ko

be-KHuda-hafiz kahe chal den jhuka kar gardanen

aao us dukh ko pukaren jis ki shiddat ne hamein

is qadar ek dusre ke gham se wabasta kiya

wo jo tanhai ka dukh tha talKH mahrumi ka dukh

jis ne hum ko dard ke rishte mein paiwasta kiya

wo jo is gham se ziyaada jaan-gusil qatil raha

wo jo ek sail-e-bala-angez tha apne liye

jis ke pal pal mein the sadiyon ke samundar maujzan

chiKHti yaaden liye ujDe hue sapne liye

main bhi nakaam-e-wafa tha to bhi mahrum-e-murad

hum ye samjhe the ki dard-e-mushtarak ras aa gaya

teri khoi muskurahaT qahqahon mein Dhal gai

mera gum-gashta sukun phir se mere pas aa gaya

tapti do-pahron mein aasuda hue bazu mere

teri zulfen is tarah bikhrin ghaTaen ho gain

tera barfila badan be-saKHta lau de uTha

meri sansen sham ki bhigi hawaen ho gain

zindagi ki saaten raushan thin shamon ki tarah

jis tarah se sham guzre jugnuon ke shahr mein

jis tarah mahtab ki wadi mein do sae rawan

jis tarah ghunghru chhanak uTThen nashe ki lahr mein

aao ye sochen bhi qatil hain to behtar hai yahi

phir se hum apne purane zahr ko amrit kahen

tu agar chahe to hum ek dusre ko chhoD kar

apne apne be-wafaon ke liye rote rahen

(2848) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

To Behtar Hai Yahi In English By Famous Poet Ahmad Faraz. To Behtar Hai Yahi is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem To Behtar Hai Yahi for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download To Behtar Hai Yahi in PDF.