Kafir Hun Sar-phira Hun Mujhe Mar Dijiye

kafir hun sar-phira hun mujhe mar dijiye

main sochne laga hun mujhe mar dijiye

hai ehtiram-e-hazrat-e-insan mera din

be-din ho gaya hun mujhe mar dijiye

main puchhne laga hun sabab apne qatl ka

main had se baDh gaya hun mujhe mar dijiye

karta hun ahl-e-jubba-o-dastar se sawal

gustaKH ho gaya hun mujhe mar dijiye

KHushbu se mera rabt hai jugnu se mera kaam

kitna bhaTak gaya hun mujhe mar dijiye

malum hai mujhe ki baDa jurm hai ye kaam

main KHwab dekhta hun mujhe mar dijiye

zahid ye zohd-o-taqwa-o-parhez ki rawish

main KHub jaanta hun mujhe mar dijiye

be-din hun magar hain zamane mein jitne din

main sab ko manta hun mujhe mar dijiye

phir us ke baad shahr mein nachega hu ka shor

main aaKHiri sada hun mujhe mar dijiye

main Thik sochta hun koi had mere liye

main saf dekhta hun mujhe mar dijiye

ye zulm hai ki zulm ko kahta hun saf zulm

kya zulm kar raha hun mujhe mar dijiye

zinda raha to karta rahunga hamesha pyar

main saf kah raha hun mujhe mar dijiye

jo zaKHm banTte hain unhen zist pe hai haq

main phul banTta hun mujhe mar dijiye

barud ka nahin mera maslak darud hai

main KHair mangta hun mujhe mera dijiye

(8326) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kafir Hun Sar-phira Hun Mujhe Mar Dijiye In English By Famous Poet Ahmad Farhad. Kafir Hun Sar-phira Hun Mujhe Mar Dijiye is written by Ahmad Farhad. Read famous Poem Kafir Hun Sar-phira Hun Mujhe Mar Dijiye for youth and Student by Ahmad Farhad. Free Download Kafir Hun Sar-phira Hun Mujhe Mar Dijiye in PDF.