Ab Ye Hoga Shayad Apni Aag Mein KHud Jal Jaenge

ab ye hoga shayad apni aag mein KHud jal jaenge

tum se dur bahut rah kar bhi kya paya kya paenge

dukh bhi sachche sukh bhi sachche phir bhi teri chahat mein

hum ne kitne dhoke khae kitne dhoke khaenge

kal ke dukh bhi kaun se baqi aaj ke dukh bhi kai din ke

jaise din pahle kaTe the ye din bhi kaT jaenge

aql pe hum ko naz bahut tha lekin ye kab socha tha

ishq ke hathon ye bhi hoga log hamein samjhaenge

aankhon se ojhal hona kya dil se ojhal hona hai

tujh se chhuT kar bhi ahl-e-gham kya tujh se chhuT jaenge

hum se aabla-pa jab tanha ghabraenge sahra mein

raste sab tere hi ghar ki jaanib ko muD jaenge

(789) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Ye Hoga Shayad Apni Aag Mein KHud Jal Jaenge In English By Famous Poet Ahmad Hamdani. Ab Ye Hoga Shayad Apni Aag Mein KHud Jal Jaenge is written by Ahmad Hamdani. Read famous Poem Ab Ye Hoga Shayad Apni Aag Mein KHud Jal Jaenge for youth and Student by Ahmad Hamdani. Free Download Ab Ye Hoga Shayad Apni Aag Mein KHud Jal Jaenge in PDF.