Gard Kaisi Hai Ye Dhuan Sa Kya

gard kaisi hai ye dhuan sa kya

ja raha hai wo karwan sa kya

ho gaya koi mehrban sa kya

ranj ka bandh gaya saman sa kya

tak rahe hain KHala mein hum kis ko

ban raha hai wo ek nishan sa kya

silsila kuchh udasiyon ka bhi

jagmagata hai kahkashan sa kya

hum bhi achchhe hain dard bhi kam hai

dil se uTTha magar dhuan sa kya

kaise TuTe sukut-e-sham-e-firaq

har taraf shor-e-be-aman sa kya

ye mohabbat hai ya hai koi tilism

pichha karta hai ek guman sa kya

(868) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gard Kaisi Hai Ye Dhuan Sa Kya In English By Famous Poet Ahmad Hamdani. Gard Kaisi Hai Ye Dhuan Sa Kya is written by Ahmad Hamdani. Read famous Poem Gard Kaisi Hai Ye Dhuan Sa Kya for youth and Student by Ahmad Hamdani. Free Download Gard Kaisi Hai Ye Dhuan Sa Kya in PDF.