Yaad Kya Kya Log Dasht-e-be-karan Mein Aae The

yaad kya kya log dasht-e-be-karan mein aae the

rang lekin kab ye chashm-e-KHun-fishan mein aae the

kis tamanna se tumhein dekha tha kis chahat se hum

raqs karte halqa-e-waraftagan mein aae the

suraten kya kya dil-e-aina-gar mein bas gain

hum se be-surat bhi to bazm-e-jahan mein aae the

sadgi se hum ne samjha tha hamara zikr hai

tazkire kuchh aur hi un ke bayan mein aae the

har nai mushkil pe hum socha kiye hain der tak

log pahle bhi to kuchh shahr-e-butan mein aae the

ye gul-e-tar ki si KHushbu kis taraf se aa gai

hum bagule the bhala kab gulistan mein aae the

kyun hamare sans bhi hote hain logon par giran

hum bhi to ek umr le kar is jahan mein aae the

(666) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yaad Kya Kya Log Dasht-e-be-karan Mein Aae The In English By Famous Poet Ahmad Hamdani. Yaad Kya Kya Log Dasht-e-be-karan Mein Aae The is written by Ahmad Hamdani. Read famous Poem Yaad Kya Kya Log Dasht-e-be-karan Mein Aae The for youth and Student by Ahmad Hamdani. Free Download Yaad Kya Kya Log Dasht-e-be-karan Mein Aae The in PDF.