1973 Ki Ek Nazm

yahan tak hum aa gae hain

aur han tumhaara pata inhin logon se malum hua jo mar chuke the

jab hum chale the to aadhi umr bitane ke pachhtawe ke samne din Dub raha tha

ek ghoDa khaDa tha

aur hanp raha tha

ek minute Thahro main thoDi si chae pi lun to aage baDhun

mere hath mein ye jo safed kaghaz hai ise tumhaari himaqat nahin chhin sakti

aur na hawa uDa sakti hai

agar tum tairna jaante ho to zindagi bahut buri hote hue bhi bahut buri nahin

tum bina thake hue bhi kai sal tak tair sakte ho

agar tumhaare dil mein ek yaad bhi baqi hai

to jugnuon se bhare hue jangal is duniya mein ab bhi hain

ek jugnu kahin se pakaD lo

aur use apni jeb mein rakh lo

aur andhere mein chalo

raushni tumhaari jeb se chhan-chhan ke rasta samghaegi

magar suno

jab rasta mil jae to jugnu ko chhoD dena

aazad kar dena

(930) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

1973 Ki Ek Nazm In English By Famous Poet Ahmad Hamesh. 1973 Ki Ek Nazm is written by Ahmad Hamesh. Read famous Poem 1973 Ki Ek Nazm for youth and Student by Ahmad Hamesh. Free Download 1973 Ki Ek Nazm in PDF.