Nihaal-e-wasl Nahin Sang-bar Karne Ko

nihaal-e-wasl nahin sang-bar karne ko

bas ek phul hai kafi bahaar karne ko

kabhi to apne faqiron ki dil-kushai kar

kai KHazane hain tujh par nisar karne ko

ye ek lamhe ki duri bahut hai mere liye

tamam umr tera intizar karne ko

kashish kare hai wo mahtab dil ko zoron ki

chala ye qatra bhi qulzum nisar karne ko

to phir ye dil hi na le aaun KHub chamka kar

tere jamal ka aaina-dar karne ko

qaba-e-marg ho ya raKHt-e-zindagi ai dost

mile hain donon mujhe tar tar karne ko

bahut sa kaam diya hai mujhe un aankhon ne

hawala-e-dil-e-na-karda-kar karne ko

(2050) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nihaal-e-wasl Nahin Sang-bar Karne Ko In English By Famous Poet Ahmad Javed. Nihaal-e-wasl Nahin Sang-bar Karne Ko is written by Ahmad Javed. Read famous Poem Nihaal-e-wasl Nahin Sang-bar Karne Ko for youth and Student by Ahmad Javed. Free Download Nihaal-e-wasl Nahin Sang-bar Karne Ko in PDF.