Ek KHayal

tariKH ke bune hue thailon mein hamesha

koi be-had aham chiz rah jati hai

be-shak hawaen azim-tarin sanna hain

un KHarabon ki jo naqsh hain be-rangi ke sath

ek pur-asrar ghair-maruf andhere ki dabiz diwaron par

lekin aankhen

aise pechida manzar ko

sehhat aur saqahat ke sath

naql nahin kar saktin

KHwah binai ki kisi bhi qabil se

ilaqa rakhti hon

ab bilkul naya tanazur zaruri hai

is na-didani se ohda-bara hone ke liye

warna dekhna ek ahmaqana tasawwur hai jise

bas aankhen hi manti hain

(1033) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek KHayal In English By Famous Poet Ahmad Javed. Ek KHayal is written by Ahmad Javed. Read famous Poem Ek KHayal for youth and Student by Ahmad Javed. Free Download Ek KHayal in PDF.