Kitne Mein Banti Hai Mohr Aisi

kitne mein banti hai mohr aisi

na-chiz ahmad-jawed-'owaisi'

mere suKHan mein hai ek shai si

aawaz itni KHamoshi aisi

kal aashiqon ka aate hi mazkur

kya kya na bahke allama-qaisi

is mantiqi par apni nazar hai

min-wajh aisi min-wajh waisi

yan ka na hona bhi wahm hi hai

butlan kis ka tahqiq kaisi

khulti nahin hai mujh par ye duniya

dil mein nahin si aankhon mein hai si

jitni masafat sar kar chuka hun

lagti hai wo bhi na-karda tai si

sukha paDa hai dariya to kab ka

hai mauj-KHezi waisi ki waisi

ab shahr sara gharqab jaano

ashkon mein aai ye bund kaisi

saghar mila hai saghar sa mujh ko

us mein bhari hai mai koi mai si

deta hai tark-e-duniya ki dawat

'jawed' ki to aisi-ki-taisi

(3164) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kitne Mein Banti Hai Mohr Aisi In English By Famous Poet Ahmad Javed. Kitne Mein Banti Hai Mohr Aisi is written by Ahmad Javed. Read famous Poem Kitne Mein Banti Hai Mohr Aisi for youth and Student by Ahmad Javed. Free Download Kitne Mein Banti Hai Mohr Aisi in PDF.