Ghubar-e-abr Ban Gaya Kamal Kar Diya Gaya

ghubar-e-abr ban gaya kamal kar diya gaya

hari-bhari ruton ko meri shaal kar diya gaya

qadam qadam pe kasa le ke zindagi thi rah mein

so jo bhi apne pas tha nikal kar diya gaya

main zaKHm zaKHm ho gaya lahu wafa ko ro gaya

laDai chhiD gai to mujh ko Dhaal kar diya gaya

gulab-rut ki dewiyan nagar gulab kar gain

main surKH-ru hua use bhi lal kar diya gaya

tu aa ke mujh ko dekh to ghubar ke hisar mein

tere firaq mein ajib haal kar diya gaya

wo zahr hai fazaon mein ki aadmi ki baat kya

hawa ka sans lena bhi muhaal kar diya gaya

(725) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghubar-e-abr Ban Gaya Kamal Kar Diya Gaya In English By Famous Poet Ahmad Khayal. Ghubar-e-abr Ban Gaya Kamal Kar Diya Gaya is written by Ahmad Khayal. Read famous Poem Ghubar-e-abr Ban Gaya Kamal Kar Diya Gaya for youth and Student by Ahmad Khayal. Free Download Ghubar-e-abr Ban Gaya Kamal Kar Diya Gaya in PDF.