Main Wahshat-o-junun Mein Tamasha Nahin Bana

main wahshat-o-junun mein tamasha nahin bana

sahra mere wajud ka hissa nahin bana

is bar kuza-gar ki tawajjoh thi aur samt

warna hamari KHak se kya kya nahin bana

soi hui ana mere aaDe rahi sada

koshish ke bawajud bhi kasa nahin bana

ye bhi teri shikast nahin hai to aur kya

jaisa tu chahta tha main waisa nahin bana

warna hum aise log kahan Thahrte yahan

hum se falak ki samt ka zina nahin bana

jitne kamal-rang the sare liye gae

phir bhi tere jamal ka naqsha nahin bana

roka gaya hai waqt se pahle hi mera chaak

mujh ko ye lag raha hai main pura nahin bana

(760) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Wahshat-o-junun Mein Tamasha Nahin Bana In English By Famous Poet Ahmad Khayal. Main Wahshat-o-junun Mein Tamasha Nahin Bana is written by Ahmad Khayal. Read famous Poem Main Wahshat-o-junun Mein Tamasha Nahin Bana for youth and Student by Ahmad Khayal. Free Download Main Wahshat-o-junun Mein Tamasha Nahin Bana in PDF.