Ye Talluq Teri Pahchan Bana Sakta Tha

ye talluq teri pahchan bana sakta tha

tu mere sath bahut nam kama sakta tha

ye bhi ejaz mujhe ishq ne baKHsha tha kabhi

us ki aawaz se main dip jala sakta tha

main ne bazar mein ek bar ziya banTi thi

mera kirdar mere hath kaTa sakta tha

kuchh masail mujhe ghar rok rahe hain warna

main bhi majnun ki tarah KHak uDa sakta tha

ab to tinka mujhe shahtir se bhaari hai 'KHayal'

main kisi waqt bahut bojh uTha sakta tha

(714) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Talluq Teri Pahchan Bana Sakta Tha In English By Famous Poet Ahmad Khayal. Ye Talluq Teri Pahchan Bana Sakta Tha is written by Ahmad Khayal. Read famous Poem Ye Talluq Teri Pahchan Bana Sakta Tha for youth and Student by Ahmad Khayal. Free Download Ye Talluq Teri Pahchan Bana Sakta Tha in PDF.