Main Kho Gaya Hun Kahan Aashiyan Banate Hue

main kho gaya hun kahan aashiyan banate hue

zamin bhul gaya aasman banate hue

sitara-war chamakta har ek zarra mera

bikhar na jae kahin kahkashan banate hue

tumhaare nam pe main jal-bujha to ilm hua

ki sud banta hai kaise ziyan banate hue

mahaz par hi raha hun lahu ke bujhne tak

qalam hue mere bazu kaman banate hue

qadam kuchh aisa uTha aaKHiri qadam ki 'latif'

main do jahan se gaya ek jahan banate hue

(598) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Kho Gaya Hun Kahan Aashiyan Banate Hue In English By Famous Poet Ahmad Lateef. Main Kho Gaya Hun Kahan Aashiyan Banate Hue is written by Ahmad Lateef. Read famous Poem Main Kho Gaya Hun Kahan Aashiyan Banate Hue for youth and Student by Ahmad Lateef. Free Download Main Kho Gaya Hun Kahan Aashiyan Banate Hue in PDF.