Ab Is Makan Mein Naya Koi Dar Nahin Karna

ab is makan mein naya koi dar nahin karna

ye kaam sahl bahut hai magar nahin karna

zara hi der mein kya jaane kya ho raat ka rang

so ab qayam sar-e-rahguzar nahin karna

bayan to kar dun haqiqat us ek raat ki sab

pa shart ye hai kisi ko KHabar nahin karna

rafugari ko ye mausam hai sazgar bahut

hamein junun ko abhi jama-dar nahin karna

KHabar hai garm kisi qafile ke luTne ki

ye waqia hai to sair o safar nahin karna

(716) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Is Makan Mein Naya Koi Dar Nahin Karna In English By Famous Poet Ahmad Mahfuz. Ab Is Makan Mein Naya Koi Dar Nahin Karna is written by Ahmad Mahfuz. Read famous Poem Ab Is Makan Mein Naya Koi Dar Nahin Karna for youth and Student by Ahmad Mahfuz. Free Download Ab Is Makan Mein Naya Koi Dar Nahin Karna in PDF.