Badan-sarab Na Dariya-e-jaan Se Milta Hai

badan-sarab na dariya-e-jaan se milta hai

to phir ye KHwab-kinara kahan se milta hai

ye dhup chhanw salamat rahe ki tera suragh

hamein to saya-e-abr-e-rawan se milta hai

hum ahl-e-dard jahan bhi hain silsila sab ka

tumhaare shahr ke aashuftagan se milta hai

jahan se kuchh na mile to bhi faede hain bahut

hamein ye naqd usi aastan se milta hai

faza hi sari hui surKH-ru to hairat kya

ki aaj rang-e-hawa gul-ruKHan se milta hai

bichhaD ke KHak hue hum to kya zara dekho

ghubar ja ke usi karwan se milta hai

(703) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Badan-sarab Na Dariya-e-jaan Se Milta Hai In English By Famous Poet Ahmad Mahfuz. Badan-sarab Na Dariya-e-jaan Se Milta Hai is written by Ahmad Mahfuz. Read famous Poem Badan-sarab Na Dariya-e-jaan Se Milta Hai for youth and Student by Ahmad Mahfuz. Free Download Badan-sarab Na Dariya-e-jaan Se Milta Hai in PDF.