UTh Ja Ki Ab Ye Mauqa Hathon Se Ja Rahega
uTh ja ki ab ye mauqa hathon se ja rahega
ye karwan hai aaKHir kab tak ruka rahega
zaKHmon ko ashk-e-KHun se sairab kar raha hun
ab aur bhi tumhaara chehra khila rahega
yun to bahut hai mushkil band-e-qaba ka khulna
lekin khula to phir ye uqda khula rahega
sargarmi-e-hawa ko dekha hai pas dil ke
is aag se ye jangal kab tak bacha rahega
khulti nahin hai yarab kyun nind raftagan ki
kya hashr tak ye aalam soya paDa rahega
waqt-e-zawal hai hum khilwaD dekhte hain
uThiye ki ye tamasha yun hi laga rahega
yaksar hamare bazu shal ho rahe hain yarab
aaKHir daraaz kab tak dast-e-dua rahega
(695) Peoples Rate This