Wo Ek Sawal-e-sitara Ki Aasman Mein Tha

wo ek sawal-e-sitara ki aasman mein tha

tamam raat ye dil saKHt imtihan mein tha

sukun sarab zamin mein jhulas gaya tha badan

na jaane kaun dhanak-rang saeban mein tha

zara sa dam na liya tha ki mund gain aankhen

main is safar se nikal kar ajab takan mein tha

wo jate jate achanak muDa tha meri taraf

mujhe yaqin hai ki wo phir kisi guman mein tha

use bhulaya to apna KHayal bhi na raha

ki mera sara asasa isi makan mein tha

(747) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Ek Sawal-e-sitara Ki Aasman Mein Tha In English By Famous Poet Ahmad Mahfuz. Wo Ek Sawal-e-sitara Ki Aasman Mein Tha is written by Ahmad Mahfuz. Read famous Poem Wo Ek Sawal-e-sitara Ki Aasman Mein Tha for youth and Student by Ahmad Mahfuz. Free Download Wo Ek Sawal-e-sitara Ki Aasman Mein Tha in PDF.