Duniya Mein Suragh-e-rah-e-duniya Nahin Milta

duniya mein suragh-e-rah-e-duniya nahin milta

dariya mein utar jaen to dariya nahin milta

baqi to mukammal hai tamanna ki imarat

ek guzre hue waqt ka shisha nahin milta

jate hue har chiz yahin chhoD gaya tha

lauTa hun to ek dhup ka TukDa nahin milta

jo dil mein samae the wo ab shamil-e-dil hain

is aaine mein aks kisi ka nahin milta

tu ne hi to chaha tha ki milta rahun tujh se

teri yahi marzi hai to achchha nahin milta

dil mein to dhaDakne ki sada bhi nahin 'mushtaq'

raste mein hai wo bhiD ki rasta nahin milta

(756) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Duniya Mein Suragh-e-rah-e-duniya Nahin Milta In English By Famous Poet Ahmad Mushtaq. Duniya Mein Suragh-e-rah-e-duniya Nahin Milta is written by Ahmad Mushtaq. Read famous Poem Duniya Mein Suragh-e-rah-e-duniya Nahin Milta for youth and Student by Ahmad Mushtaq. Free Download Duniya Mein Suragh-e-rah-e-duniya Nahin Milta in PDF.